| Author |
Message |
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 9 Jun 2010 00:16
Reply
singh ajeet
Main Theek Hu...Aap Sunaayiye...Kaisi Chal Rahi Hai LIfe,,,,
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 9 Jun 2010 02:01 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply
Ye Mat Poochho Ke Aapko... Hum Kitna Yaad Karte Hein, Ye Soch Lo Ke... Meri Har Saans Mein, Sirf Aap Hi Huya Karte Hein, Kash Koyi Aisa Waqt Aaye... Jo Tumein Mere Saamne Laaye, Bas Khuda Se Hum Din-Raat... Yehi Fariyad Karte Hein...!!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 9 Jun 2010 03:14
Reply
Kabhi Khatam Na Ho Teri Khushio'n Ka Khazana, Kabhi Bhoole Na Tere Honth Muskurana, Tu Jahan Bhi Jaaye Meri Dua Saath Jaaye, Khuda Kare Tujhe Meri Umar Bhi Lag Jaaye....!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 9 Jun 2010 06:44 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply
Baaki Ab Kuch Na Raha Zamaane Mein, Zindagi Guzar Gayi Aapko Paas Bulaane Mein, Ab To Karlo Pyar Pe Yakeen Mere, Varna Zindagi Beet Jaayegi Aazmane Mein...!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 10 Jun 2010 23:55
Reply
Khayalo Mein Mere Humesha Tu Hi Aaye, Saason Ko Meri Tu Hi Mehkaye, Kabhi Juda Nahi Hai Tu Mujhse Meri Jaana, Ke Marne Ke Baad Bhi Tere Sang Honge Mere Saaye.
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 11 Jun 2010 03:59
Reply
Safar Zindgi Ka Kaatein Kis Bahaane Se... Humein Siwa Gam Ke Mila Na Kuchh Zamane Se, Ye Aur Baat Hai Ki Waqt Juda Kar Deta Hai... Warna Pyar Jhukta Nahi Kisi Ke Jhukaane Se.
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 11 Jun 2010 04:33 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply
Pata Hi Nahi Chala Kab Wo... Dost Se Humare Dildaar Ban Gaye, Saath Guzaare Huye Kuch Pal... Zindagi Ke Liye Yaadgar Ban Gaye,
Hum Kar Na Sake Unse... Izhaar Apni Mohabat Ka, Aur Dekhte Hi Dekhte Wo... Kisi Aur Ka Pyar Ban Gaye..!!
AVTAR RAYAT
|
ankur yadav
Member
|
# Posted: 11 Jun 2010 19:48
Reply
महिला : इंस्पेक्टर साहब, मेरे पति 5 दिनों पहले घर से आलू खरीदने के लिए निकले थे और आज तक नहीं लौटेइंस्पेक्टर संता : आप कोई और सब्जी क्यों नहीं पका लेती?
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 14 Jun 2010 00:14
Reply
Aye Jaan...
Andhera Aankho Se Meri Hata Do, Tanhaia'n Jad Se Meri Mita Do, Aakar Is Bejaan Zindagi Mein, Mere Chehre Par Khushia'n La Do...!!
AVTRA RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 14 Jun 2010 06:07
Reply
Kyo Log Mohabat Karke Wafa Nahi Karte... Sazdo Mein Rehte Hein Aur Ibadat Nahi Karte, Shokh To Hai Unhein Sajne Sanwarne Ka... Phir Kyon Wo Aayino Ki Hifaazat Nahi Karte...!!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 16 Jun 2010 00:17
Reply
Dil Toot Gaya To Sawal Karoge, Hum Na Rahe To Yaad Karoge, Aaj Tum Kehte Ho Waqt Nahi Hai... Par Ek Din Mujhse Milne Ke Liye... Waqt Se Fariyad Karoge......!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 16 Jun 2010 00:26
Reply
Aye Sandil...Mujhe Ye Bata, Mujhe Bhool Kar Tujhe Kya Mila, Meri Chaahto'n Ka Tu Hisaab De, Dil Tod Ke Tujhe Kya Mila,
Tere Chaar Din Ke Pyar Se, Mujhe Umar Bhar Ka Gam Mila, Main Toot Kar Bikhar Gaya... Mujhe Tod Kar Tujhe Kya Mila...!!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 17 Jun 2010 23:15 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply
Maa Ke Aanchal Mein Sone Ka Sukh... Shayad...Agli Peedi Nahi Le Paayegi...
Kyoki.......,
Kyoki........,
Jeans Pahn'ne Wali Maa... Aanchal Kaha'n Se Layegi...!!!
AVTAR RAYAT
|
vicky7enjoy
Member
|
# Posted: 21 Jun 2010 05:50
Reply
Pyaar surat se nahi Dilse hota hai, Yakeen insaan pe nahi uske imaan pe hota hai..
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 22 Jun 2010 09:59
Reply
Tujh Sa Aasman Pe Ek Sitara Nahi, Koyi Phool Bhi Tum Se Pyara Nahi, Tum Ho Husn To Main Hoo'n Wafa, Mera Pyar Wo Samundar Hai, Jis Ka Koyi Kinaara Nahi...!!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 22 Jun 2010 10:07
Reply
Raat Din Rulata Hai Intzaar Tera, Cut Gayi Umar Kam Na Huya Pyar Tera, Ab To Aaa Jaayo Ke Bahut Udaas Hein, Saans Tootne Se Pehle Chahte Hein... Ek Baar Hum Deedaar Tera...!!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 23 Jun 2010 23:41
Reply
Kitna Suroor Raat Ki Tanhayio'n Mein Tha, Chup Tha Chand Jaise Ruswayio'n Mein Tha, Log Jaag Rahe The Apni Ibaadat Ke Liye... Par..Humara Dil Teri Yaad Ki Gehrayio'n Mein Tha.
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 27 Jun 2010 23:48
Reply
Aye Dost,,,
Humari Dosti Par Shaq Na Kiya Karo... Do Pal Ki Hai Zindagi Has Kar Jiya Karo, Zamaane Walon Ka Kaam Hai Juda Karna... Par Tum Juda Hone Ki Koshish Na Kiya Karo...!!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 29 Jun 2010 00:21
Reply
Aye Jaan,,
Meri Har Saans Pe... Naam Likha Hai Aapka, Ye Jo Meri Zindagi Hai... Wo Tohfa Hai Aapka, Dil Ki Dhadkan Bhi... Aap Ka Naam Le-Le Dhadke, Jaane Kya Hai Rishta... Mera Aur Aapka...!!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 30 Jun 2010 00:13
Reply
Nadi Jab Kinaara Chhod Deti Hai... Raah Ki Chattaan Tak Tod Deti Hai, Baat Chhoti Si Agar Choobh Jaati Hai Dil Mein, To Zindagi Ke Raasto'n Ko Mod Deti Hai...!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 30 Jun 2010 00:19 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply
Hum Pehle Pathar Ke The... Aapne Taraasha Hira Bana Diya, Itna Pyar Diya Zindagi Mein... Hume Jeena Sikha Diya, Dard Lekar Hum Aaye The... Akele Is Zamaane Mein, Jab Se Thaama Hai... Mere Jiwan Ki Dolti Naaw Ko, Usey Doobne Se Pehle... Aapne Kinaare Laga Diya...!!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 1 Jul 2010 08:15
Reply
Kis Kadar Mujhko Sataate Ho, Bhool Jaane Pe Bhi Yaad Aate Ho, Jab Bhi Khuda Se Kuch Maanga Maine, Mere Dil Ki Dua Ban Jaate Ho...!!!
AVTAR RAYAT
|
vicky7enjoy
Member
|
# Posted: 1 Jul 2010 09:19
Reply
Shayad.............
Wo to majborioon main lipti hain Apney shiddat bharey khyaloon main Apney ander chhupi ek aurat main Wo hamesha hi darti rehti hain Na to jeeti hain na to marti hain Larkiyaan bewafaa nahi hoti Per Hamesha hi darti rehti hain Apne reeti or rawajoon se Any waley naye azaboon se Zardurat main khily ghulaboon se Pyaar kerti hain or chhupati hain Larkiyaan Bewafaa nahi hot Kyuon ki majborioon main lepti hain Or her lamha darti rehti hain Apney pyaar se apney saye se Apney rishton se dil ki dharkan se Apni khowahish se apni kushioon se Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
Vicky
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 1 Jul 2010 09:34
Reply
Tum Chale Gaye Ho Jab Se... Aye Mere Sanam, Usi Raah Pe Ruk Gaye Hein... Tab Se Mere Kadam, Tum Aayo..Aakar Milo Kabhi... Haal Apna Sunaaye Tume, Tumhare Bina Ye Zindagi... Adhoori Hai Tumhari Kasam...!!!
AVTAR RAYAT
|
ankur yadav
Member
|
# Posted: 4 Jul 2010 00:12
Reply
Aahista - aahista milte milte aa gaye mere itne kareeb, jo kal tak hua karte the ajnabi, ban gaye hain aaj wo hi mera naseeb.
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 5 Jul 2010 00:33 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply
Aye Jaan,,,
Tumein Humse Mohabbat Nahi... Ye Humne Tab Jaana... Jab Tumhari Mohabat Ne... Humein Kar Diya Deewana.
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 6 Jul 2010 08:00
Reply
Khwabo Ke Ander Zinda Mat Raho, Balki Khawab Apne Ander Zinda Rakho, Mohabat Us se Nahi Hoti Jo Khubsurat Ho, Khubsurat To Wo Hota Hai Jis se Mohabat Ho...!!!
AVTAR RAYAT
|
vicky7enjoy
Member
|
# Posted: 6 Jul 2010 14:40
Reply
Hello Avtar bhai sahab
apki shayari wakai me bohot hi unique h, aisa lagta h jese ye shayariya meri feelings keh rahi ho....
Hum jiske wajud me khud ko talaaste h, woh janaab to dusron ko apna pyar mante h, hum jiska saaya banker sath chalna chahte h, Woh humare ehsaas ko b thoker marte h...
Vicky
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 7 Jul 2010 01:32 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply
Aye Sanam,,,
Jab Tak Tumhein Dekh Na Lu... Dil Ko Qaraar Nahi Aata Hai, Gar Kisi Gair Ke Saath Dekh Lu Tumein... To Phir Saha Bhi Nahi Jaata Hai...!!!
AVTAR RAYAT
|
AVTAR RAYAT
Member
|
# Posted: 7 Jul 2010 01:35
Reply
vicky7enjoy
Thanx Vicky...Jo Aap Meri Shayario'n Se Itne Prabhaavit Ho...
|