Read Jokes in Hindi Language
  • 100's of Jokes written in Hindi Language
  • Funny Cartoons by cartoonist T.C. Chander
  • Selected Sher Shayari of Famous Hindi-Urdu Poets
  • Lot's of other funny stuff in Hindi
Go To GustakhiMaaf.com Homepage
 - Forums - Sign Up - Reply - Search - Statistics -
Community / आदाब - अर्ज / ....Sort SMS....
<< 1 ... 27 . 28 . 29 . 30 . 31 . 32 . 33 . >>
Author Message
AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 7 Jul 2010 01:46
Reply 


Dear Vicky,,,,

Taarif Aapki Humne...
Dil Se Kabool Ki Hai,
Shayar Hum Kaha'n The,
Bas Unse Pyar Karne Ki...
Bhool Ki Hai...!!!

AVTAR RAYAT


singh ajeet
Member
# Posted: 7 Jul 2010 02:32
Reply 


Good Morning Sirji ......sir aapka ye msg hamare samajh me nahi aaya pls hame bataiye jisse hum kam se kam rpl post kar sake .......thank you sirji...



ਅਜੀਤ ਸਿੰਘ ਜੀ...

ਸਤ ਸ੍ਰੀ ਅਕਾਲ,,,,

ਕਿਵੇਂ ਹੋ ਭਰਾ ਜੀ....
ਅੱਜ-ਕਲ ਕਿੱਥੇ ਹੋ...
ਤੁਹਾਡਾ ਕਮ ਕਿਸ ਚੀਜ਼ ਦਾ ਹੈ...

"ਚੁਟਕਲੇ" ਅੱਛੇ ਲਿਖ ਲੇਂਦੇ ਹੋ...

ਅਵਤਾਰ ਰਾਇਤ

Ajeet Singh

AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 8 Jul 2010 01:01 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply 


Kyo Aankhein Churaate Ho Humse...
Kisi Din Aapse Bahut Door Nikal Jaayeinge,
Tab Maango ge Dua'on Mein Khuda Se Humain,
Phir Laut Ke Na Kabhi Hum Aayenge...!!!

AVTAR RAYAT


singh ajeet
Member
# Posted: 8 Jul 2010 01:10
Reply 


अवतार जी .....हम इलाहाबाद (उ.प्र) के रहने वाले है....और हम इस समय मुंबई में
ASST.BRANCH MANAGER की पोस्ट है ....कंपनी "TRANSOLUTIONS. PVT. LTD. फिलहाल ज़िन्दगी के साथ संघर्ष हो रही है ...और रही जोक्स की बात ...तो हम ये समझते है की अगर कुछ पलों में अपनी छाप छोडनी हो तो ये बहुत जरुरी है और हम इस को अपनी ताकत मानते है ......धन्यवाद्
.
.
अजीत सिंह

singh ajeet
Member
# Posted: 8 Jul 2010 01:17
Reply 


सत श्री अकाल पाजी और दसो की हॉल चाल है मैनू पता नहीं था की तुसी पंजाबी हो खैर कोई गल नहीं .......

अजीत सिंह

AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 8 Jul 2010 05:25
Reply 


Ajit Singh Ji....Asi Punjabi Haa Te...
&..I Belong To Sikh Famlily...


vicky7enjoy
Member
# Posted: 10 Jul 2010 00:52
Reply 


Namaste bhai sahab
pairi pona...

Baar baar din ye aaye,
Baar baar DIL ye gaaye,
Aap jeeyo HAZAARO saal,
Ye meri hai AARZO....
Happy b'day 2 u....

Hum sab GUSTAKHIMAAF FAMILY ki taraf se aapko JANAM-DIN ki HARDIK badhai....
Dil se.....

Vicky

AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 10 Jul 2010 03:15
Reply 


Thanx Vicky Bhaayi,,,,,

vicky7enjoy
Member
# Posted: 10 Jul 2010 03:22
Reply 


Its my pleasure...

AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 16 Jul 2010 05:34 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply 


Tum Zamane Ke Ho...
Humare Siwa...
Hum Kisi Ke Nahi...
Tumhare Siwa,
Tumhein Yakeen Dilayein...
To Kaise Dilaayein,
Ke...Humara Koyi Nahi...
Tumhare Siwa...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 19 Jul 2010 23:34
Reply 


Ban Sahara Be-Sahaaro Ke Liye,
Ban Kinara Be-Kinaaro Ke Liye,
Jo Jeeye Apne Liye To Kya Jeeye,
Jee Sake To Jeo..Hazaaro Ke Liye...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 21 Jul 2010 23:40
Reply 


Aaina Bechne Waale Bhi
Aaina Dekhte Hein,
Wo Usme Khud Ko Nahi...
Aaine Ko Dekhte Hain...!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 30 Jul 2010 23:56
Reply 


Aye Jaan...
Aapke Pyar Ka Badla...
Kabhi Chuka Na Sakuga,
Chaah Kar Bhi Aapko...
Na Bhula Sakuga,
Aap Hi Se Hai Sanam...
Mere Hotho'n Pe Hansi...
Aapse Agar Bichhda To...
Zindagi Bhar Na Kabhi,
Muskura Sakuga...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 4 Aug 2010 04:46 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply 


Maa Teri Yaad Satati Hai...
Mere Paas Aaa Jaayo,
Thak Gaya Hoon Main...
Mujhe Apne Aanchal Main Sulaayo,
Unglia'n Apni Pher Kar...
Baalon Main Mere,
Ek Baar Phir Se...
Bachpan Ki Loriya'n Sunaayo...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 8 Aug 2010 00:16
Reply 



Laut Aaa...
O Jane Wale...
Meri Chahtein...
Kaha'n Poori Hein,
Ye Zindagi Humari...
Hai Bahut Kam,
Meri Khushia'n...
Abhi Adoori Hai...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 9 Aug 2010 00:46 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply 


Jab Se Tumein Dekha...
Apna Dil Kho Baithe,
Kal Tak Us Khuda Ke The...
Aaj Aapke Ho Baithe,
Hum Jhooth Maante The...
Pyar Diwana Kar Deta Hai,
Aaj Khud Par Jab Guzri...
To Hosh Kho Baithe...!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 14 Aug 2010 03:23
Reply 


Door Se Dekho....
To Kanton Mein Bhi Bahaar Nazar Aati Hai,
Pass Rah Ke To...
Phoolon Se Bhi Tabiyat Uoob Jaati Hai...!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 17 Aug 2010 00:15
Reply 


Bas Kya Yahi'n Tak Tha Sath Hamara,
Intezar Hi Karte Rahe Hum Din-Raat Tumhara,
Kab Hogi Is Kambakht Mobile Mein Roshni...
Aur Kab Ayega Is Mein Msg Tumhara...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 22 Aug 2010 01:29
Reply 


Tum Karte Ho Wo..Jo Tum Chahte Ho,
Aur Hota Hai Wo..Jo Main Chahta Hu,
Tum Karo Wo..Jo Main Chahta Hu,
Fir Hoga Wo..Jo Tum Chahte Ho...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 23 Aug 2010 01:14 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply 


Aye Jaan...
Bahut Door Hai Humare Ghar Se...
Tumhare Ghar Ka Kinara,
Par Hum Hawa Ke Har Jhoke Se...
Pooch Lete Hein..Kya Haal Hai Tumhara...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 23 Aug 2010 01:31
Reply 



Ye Rishto'n Ke Dhage...
Hote Hein Aise,

Inhein Jaise Bhi Bandh Lo...
Ye Bandh Jaate Hein Waise,

Waise To Zindagi Mein...
Koyi Yu Hi Nahi Milta,

Magar Jaise Tum Chahoge...
Hum Milenge Aapse Waise...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 28 Aug 2010 06:57
Reply 


Faasle Jism Ko To Door Le Jaate Hein,
Par Dilo Ke Shahar Kabhi Ujarte Nahi,
Aankho Se Aankho Ka Rishta Toot Jaye Bhi,
Par...Saath Dekhe Huye Khwab Kabhi Mit.te Nahi...!!

AVTAR RAYAT


nikhil
Member
# Posted: 29 Aug 2010 03:38
Reply 


Mere dil ki bechaini badhti hi ja rahi hai
Na chahte hue bhi zindagi bikharti ja rahi hai
Tham lo mujhe tum apni aagosh mein
K ye dhadkan ab badhti hi ja rahi hai

TEre pehlu mein rehkar hi shayad
Kuch aaram aa jaye ruuh ko meri
Ye mere jism ka sath chhodti hi ja rahi hai
Haan Jaan..tere bin ye sansein rukti hi ja rahi hain!!!!!!!!

AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 2 Sep 2010 09:58
Reply 



Dil Mein Aansuo'n Ke Siwa...
Koyi Cheez Nahi Tikti,
Hume Kab Milegi...
Teri Yaadon Se Mukti,
Zindegi To Mela Hai...
Ajnabiyo Ka,
Kisi Ajnabi Ke Chale Jane Se...
Zindegi Nahi Rukti...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 2 Sep 2010 10:02 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply 


Tumhein Ab Bhool Hi Jaayein...
To Acchha Hai,
Ye Fasle Aur Bhi Badh Jaayein...
To Acchha Hai,
Tumhari Chahtein Aaj-Tak...
Hume Hasil Na Ho Saki,
Hum Ab Gair Hi Ban Jaayein...
To Acchha Hai...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 3 Sep 2010 10:19
Reply 


Yaad Karoge To Yaad Aayeinge,
Dekhna Chahoge To Nazar Aayeinge,
Magar Kabhi Bhulne Ki Koshish Mat Karna,
Varna Chhip Jaayeinge Fir Kabhi Nazar Na Aayeinge...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 3 Sep 2010 10:21
Reply 


Dooria'n Hi Dil Ko Nazdeek Laati Hein,
Aur Dooria'n Hi Ek Duje Ki Yaad Dilaati Hein,
Door Ho Kar Bhi Koyi Kareeb Hai Kitna...
Dooria Hi Is Baat Ka Ehsaas Dilaati Hein...!!!

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 3 Sep 2010 10:24
Reply 


Tum Mil Jaayo...Mujhe Yahi Kaafi Hai,
Meri Har Saans Ne Ye Dua Maangi Hai,
Jane Kyo Dil Khicha Chala Jaata Hai Tumhari Taraf,
Shayad Tumne Bhi Mujhe Paane Ki Dua Maangi Hai...!!


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 3 Sep 2010 10:40
Reply 


Na Wo Sapna Dekho Jo Toot Jaye,
Na Wo Haath Thamo Jo Chhoot Jaye,
Mat Aane Do Kisi Ko Itna Kareeb Ki,
Uske Door Jane Se Zindagi Rooth Jaye...

AVTAR RAYAT


AVTAR RAYAT
Member
# Posted: 3 Sep 2010 10:50 - Edited by: AVTAR RAYAT
Reply 


Jo Soch Kar...
Banaaye Jaate Hein Risthe..
Wo Kabhi Rulaate Nahi,
Jise Karna Pade Aankho Se Door,
Use...
Dil Ke Aayine Mein Basaate Nahi,

Dhadkno Mein Bas Kar...
Jo Rooh Main Utar Jayein,
Aise Log Jyaada...
Is Dharti Par Aate Nahi,

Apne Khwabo Mein...
Tujhe Jis Ne Bhi Dekha Hoga,
Subeh Aankh Khulte Hi...Jaroor...
Tume Dhoond.ne Nikala Hoga...!!!

Zindagi Unke Naam Se...
Amaanat Ban Ke Rahe,
Jaane Kitne Dimaago Ne...
Ye Socha Hoga,

Tumhari Apni Pehchan Na...
Jaha'n Bani Ho Shayad...
Aayina Isi Wajeh Se
Aapse Rootha Hoga...!!!

AVTAR RAYAT


<< 1 ... 27 . 28 . 29 . 30 . 31 . 32 . 33 . >>
Your reply
Bold Style  Italic Style  Underlined Style  Image Link  URL Link 

» Username  » Password 
Only registered users can post here. Please enter your login/password details before posting a message, or register here first.
 

Great collection of jokes in Hindi Language

©2006-07 | Email : webmaster@gustakhimaaf.com | Disclaimer


These forums are running on open source forum script miniBB™ © 2001-2010